HAZARIBAG HILL STATION 2019
Dosto ajj main Apko jharkhand ke Hazaribag k baare me batane ja rha hu. yha ke mausam, pahad, jhil, jharne,mandir,masjid, ped paudhe, ser, bhalu, haathi, park k wajah se log yha ghumne aane se khud ko rok nhi paate hai.dosto aage hazaribaag k ek chalak ka anand le.
HAZARIBAG RAILWAY STATION |
Hazaribag Ek Jhalak 2019
Ranchi se karib 95 Km. ki doori par isthit Hazaribag Jharkhand k chota nagpur pathar ka ek bhag hai, joki apne hazaribag nation park k liye parasidh hai. yah jila tarah trah k jiw jantuwo se samridh hai aur mausam v kaafi suhana hota hai yhaa ka.
yhaa pe haathi, baagh, bhalu, tenduwa, hiran, aur kayi prajatiya paayi jaati hai.hazaribag ki yatra ka mukhya karan yah hai ki yaha ka mausam ar choti choti pahadiyo se ghira sahar aur waniya jiwan jagah jagah mandir ar jiw jantu.Hazaribag me jaane k liye kuch parmukh ashthal hai hazaribag jhil,chdwa dam,swargiye nirmal park,natinal park,kaneri hill bohot se iyse ghumne yogya ashthal mil jayege.
Dosto kuch jagah ko jaane aur app kaise hazaribag pahoch sakte uski jankari hai aage jarur padhe.
Hazaribag jhil
Manoram hazari jhil par sailani jal krida ka anand le sakte hai.parakritick najaro se bharpoor ish saandaar asthal ko sailaani bohot pasand karte hai kyuki yah sahar ki bhagti daudti jindagi se door behtarin picnik spot hai .yha par water sport bhi uplabdh hai jo yuwa sailaniyo ko aakarsit krta hai
Khutra
chadwa dam se 3 km ki doori par ek bhoot payara sa gaaw khutra hai.jha pe ek bahot badi masjid hai jo apne aas paas ke ilaake me sab se badi aur aalisaan masjid hai jise dekhne k liye log door door se aate hai.
Chadwa dam
Hazaribag sahar se lagbhag saat km. ki doori par yah dam hai jo ki bhagti daudti jindagi se door ek mast piknik spot hai.
Kaneri pahad
Hazaribag me anek pahadiya hai jinme kenari pahadi pramukh hai.ish pahadi par 3 jhile bhi hai jo ishki khubsurti me char chand lagati hai. pahadi par ek imarat ka nirman kiya gya haiish imarat se hazaribag k khubsurat driahya dekhe jaa sakte hai jo parayatako ko mantra mughdh kar dete hai.yah drishya itne khubsyrat hote hai ki paryatak in tasveer ko apne camere me kaid karna nhi bhulte.
Ichak(Mandiro ka sahar)
Hazaribag jila ka mukhyalay se 13 km uttar-purav
me Ichak ishthit hai. Ichak ek samai singh rajawo ki rajdhani huwa karti thi , jo ramgarh rajgharano se talluk rakhte the. yah kha jata hai ki inhi rajao k sasan kaal (18 we sadi) me yha lahbhag 170 mandiro ka nirman karwaya tha . in mandiro me ek aur khasiyat hai ki lagbhag savi mandiro k samip talab ka nirman karwaya tha. yha k prasidh mandiro me se ek bhudhiya mata ka mandir hai. yh bihar, bangal, oddisha, aur anaya kayi jagah se sradhalu aate hai. mana jata hai ki yhaa mangi gyi har mannat puri hoti hai.Ichak parakhand hazaribag jile ka sabse bada parakhand v hai.yha ki mithatyi BALUSAAHI pure Jharkhand me parshidya hai.
Kaise jaye Hazaribag
*Airline service
Hazaribag ka sabse najdiki airpot ranchi hai, ranchi se hazaribag ki doori maatra 95Km. hai, jise dedh ghante (1.30 hours) me bus ya pvt. gaadi me tai kiya ja sakta hai.
*Train sevice
Hazaribag train ke dwara asani se v pahucha ja sakta hai, yha se delhi,mumbai chennai,kolkata aadi ke train v maujood hai.
*Bus service
Hazaribag bas dwara asani se pahucha ja sakta hai..ranchi se hazaribag ke liye bus har aadhe ghante par maujood rahti hai.
Shikhcha(Education)
Education prapt karne k lihaaz se hazaribag achha aur sasta sahar jha bohot se school, university's, collages hai. Uttari chota nagpur chetra k liye ashthapit VINOBA BHAVE UNIVERSITY HAZARIBAG yhi ishthit hai. thandi jalwayu aur hazaribag k sant watawaran sahar me sansthano ki ashthapna k liye sikcha prapt krne walo ko aakrsit karti hai aur yah abb jharkhand ka educational hub k rup me v dekha jata hai.Hazaribaag me aur v naami school collage hai Dav school san 1952 bana, st. Columbus collage, ananda collage. yhaeducation k saath police training ka sabse bada centre v hai. Bsf ka camp, Crpf camp , Home gard k liye training cente v mawjood hai .
Dosto ajj k liye itna hi aap apna khyaal rakhe aur khush rahe jai hind
The commerce world
ye bhi padhe:-
B.COM (HONS) SYLLABUS AND SUBJECT VBU-2018
Meaning of Depreciation and Methods
Partnership meaning-Hindi me
UGC NET EXAM 2018-NTA
ye bhi padhe:-
B.COM (HONS) SYLLABUS AND SUBJECT VBU-2018
Meaning of Depreciation and Methods
Partnership meaning-Hindi me
UGC NET EXAM 2018-NTA
0 Comments