Partnership meaning-Hindi me

Accounting For Partnership

Hello dosto, App kaise hai? main asha karta hu ki app bohot acche se honge.main ajj apko partnership k batane ja rha hu.main asha karta hu ki appko accha lagega.

Partnership meaning-Hindi me
Meaning of partnership by Anwar


MEANING OF PARTNERSHIP

Do ya do se adhik waikti milkar kisi waypar ko chalane, uske profit-loss ko aapas me batne aur apni seva ya capital lagane ke liye sahmat ho jate hai to iysi sanstha ko partnership kha jata hai.
Indian partnership Act 1932 ki sec. 4 ke anusaar, partnership unn waiktiyo ke bich ka sambandh hai , jinhone kisi karobaar se profit batne ka contract kiya ho jise sabhi athwa inme se koi ek ya adhik waikti sabki orr se chalata hai.

Nature of partnership

Partnership firm ka astitwa iske sadsyo se bhinn nhi hai.

characteristics of partnership(shajhedari ka wesesta)

* Do ya Do se adhik wayakti-partnership ke liye yah awasyak hai ki usme kam se kam 2 waykti sajhedar ho.
* Anubandh (contract)-partnership ki rachna karar ya samjhwta se hoyi hai
*waidhanik wayapar- partnership anubandh ka uddesh waiwasaai karna hona chahiye aur sath hi waiwasaai waidhanik (legal) hona chahiye matlab deah k kanoon k khilap nai hona chahiye.
*Laabh Kamana aur Batna- Partnership ka uddeshai profit kamana hona chahiye aur profit ko batna hona chahiye.
*Sanchalan- wayapar ka sanchalan unn sabke dwara athwa unn sab ki orr se kisi ek partnership k dwara kiya jana chahiye.

PARTNERSHIP DEED(Sajhedaari sanlekh)

partners ke parasparik adhikar, kartaw, wa dayitwa tai karne ke liye unke bich ek likhit anubandh(contract) taiyyar kiya jata hai use hi partnership deed kahte hai.
Isme nimnlikhit baato ka ullekh hota hai:
*Firm ka naam aur pata
*partners ka naam aur pata
* firm ka prakriti
*partners k dwara lagaya gya capital k bare
*Rate of interest on capital
*partners k dwara pesonal use k liye dwaring k bare
*Rate of Interest on Drawing
*Share profit ratio
*Rate of Int on Loan
*valuation of goodwill Method
*Duration of partnership
*Accounting period

Aur bohot si baato ka partnership me samavesh hota hai.
Dosto ye Agreement karlena chahiye aur future me kvi koi proproblen na ho ishliye.sath hi ye v jaan lijiye ki partnership start karne k time app INDIAN PARTNERSHIP ACT 1932 k tahat app partnership firm ka registration kra sakte hai chahe to nhi to app kewal Agreement me v partnership firm start kar sakte hai.agat dosto appne agreement karna bhul gye hai to Indian partnership act 1932 k rule k anushar chale. Dosto main apko wo 5 rule v bta deta jo nimn likhit hai.

In the absence of partnership deed

*Profit sharing ratio - Equal
*Interest on capital - No, Int. on cap.
*Int on Drawing - No, Int on Drawing
*Salary / commision - No
*Interest on Loan- 6% P.A

Dosto ajj k liye itna hi achha lage to subscribe karle , subscribe karne se latest post ko apke email me bhej diya jayega. ajj k liye itna hi tab tak k liye khyal rakhe apna. Jai Hind

ye bhi padhe:-
HAZARIBAG HILL STATION-EK JHALAK 2019
B.COM (HONS) SYLLABUS AND SUBJECT VBU-2018
Meaning of Depreciation and Methods
Partnership meaning-Hindi me
UGC NET EXAM 2018-NTA

Post a Comment

0 Comments

thecommerceworld YouTube Channel